Chahat Ek Nagma Hai

Posted under Hindi Shayari | Be the First to Comment

Chahat ek nagma hai..
Gulab phool hai..
Zameen dharti maa hai..
Dil pyarsa bandhan hai..
Mausum waqt ka ehsaas hai…..
Yaad kisi ka aana, chahat hai,
Chahat phoolon ke gulab ki tarah,
sada mahakane wala ehsaas hai,
Jo zameen aur asman ka pharak paar
kar deta, jo chutki mein/palak chapakte hi,
dil ka rishta jod deta!

Kahta hai sagar kya,
Uthti hai umang to kya,
Mat pakdo agar ka daman,
Sahti hai sharafat to jeen ke wazah hi kya!

Paap aur Poonya kahiye,
Vardaan aur Shraap ka antar kahiye,
Dharti aur Aasmaan ka pharak kahiye,
Dosti aur Dushmani ke wazah kahiye,
Garv aur Abhimaan, Ghamand ka matlab,
samjhiyen to kahiye,
Ikraar aur Takraar ka mel ho to kahiye,
Har Dharam aur Karm humare apne hai,
Beganon se pyaar karen to kahiye,
Hum ek hain ab yeh kahiye!

Submitted by Srishti Agarwal

Add A Comment

*