A collection of sher o shayari

-------------------------------------------------------------------

Har shayari ka zawab ho,
Yeh to koi zaroori to nahin,
Har sawal ka zawab ho,
Yeh koi zaroori to nahin,
Har dard ki dawa ho,
Yeh bhi koi zaroori to nahin,
Smajhane wale mil jayein,
Varna zindagi bekar hi nahin!

tum baat karo kuch is tarah,
dil mein ghar kar gaye eis tarah,
…..kahein kya ab yeh sonchte hain,..
apne aapko tumhari jagah rakhar,
ab pehchaan banrahein kuch eis tarah!

Leja leja to apne sang,
Khushiyon ka bhandar,
Rahana saath jab to wazah,
Kya hui bahar ki!
Khushiyon ka daaaman to sabhi pakte hain,
Rah jaati hain yaadein,
Dil ki tadap hi intezaar hai bas,
Kehtein hai ise dillagi!

Bina tere ek pal bhi,
nahin deti kya yeh saza,
kayamat hai ki chaa jao,
warna saza hai yeh, mohabatt ka nasha!

Submitted by Srishti Agarwal

-------------------------------------------------------------------

Log ruthkar rah jaatein hai,
Dil ki baat dil mein daba jaate hain,
Zamana teji ka hai,
Phir kyon nahin aeroplane si udaan bharte hain!
Kalam se khat par leekh kar kabootar udaana hua ab poorana,
Sonchtein hain yeh to zamana hua deewana!

Submitted by Srishti Agarwal

-------------------------------------------------------------------

Humko tumse pyaar kitna,
Humko tumse pyaar hai,
Yeh bataana ab zaroori to nahin,
Kyonki baichani to ab humara aalam hai!
Tumko pata bhi nahin,
Kucch humne tumko kha suna bhi nahin,
Phir kyon wahi baat yaad aati hai,
Mulakat ka silsa kyon badta hi nahin!

Submitted by Srishti Agarwal

-------------------------------------------------------------------

Is kadar dard ko pee rahein hain,
Oonhe pata bhi nahin,
Ab tak bataya hi nahin,
Dartein hain, Kahin haqeekat dard bada dena kahin,
Khamoshi ki zubaan ab hotoin par nahin!

Submitted by Srishti Agarwal

-------------------------------------------------------------------

Tumko dekha to yeh khayal aaya,
Dhoop ghani chaanv ho tum,
Tum muskarye to muskra utha sama bhi,
Aise jaise phool kali se khil jaye.

Sonchenge phir karnge, yeh to koi baat nahin,
Aray pyaar to ek se hota hai,
Hazaaron se nahin.

Bhoolbhoolaniyaan mein kya maza hai,
Aamne saamne ho to koi ka ehsaas hai,
Kahein kya ab pata nahin,
Phir bhi dil tumpar atakta kyon!

Jaane kyon log mohbaat mein hojaate hain badnaam,
Dil to sanch ka aaiyna hai,
Darpan mein to hum sirf apne aap ko dekhte hain,
Dil to jaise darwaje khol deta, sanchai ka mukhtaqleef!

Submitted by Srishti Agarwal

-------------------------------------------------------------------

Log yahaan wahaan bhatakte hain,
Apna samay nasht kardetein hai,
Vyarth ki baaton mein ulajhkar,
Khoob timepaas kartein hain.
Zaroorat hai aaj samaajh ko badalne ki,
Zindagi mein lage is daag, grahan ko mitaane ki,
Chandra grahan se to bach sakte hain,
Par jeevan ke laksh ko paana ab sapna sa hai!

Sheeshe se sheesha takaraye,
Aasmaan se badal takaraye,
Abke saawan ab barse aise,
Jawan dilon ki daastan mil jaye!

Aaina hai tera chehra,
Par sheesha toot jata,
Tu gamon ka sagar bhi,
Par badal kyon barsana jaanta nahin,
Dhoop mein to khilkar kali khilti hai,
Baag mein bhawaron ko lalchaati hai!
Tu anokhi kahani bhi,
Gumnaamsi dhakano mein bhi!

Submitted by Srishti Agarwal

-------------------------------------------------------------------

Dil ka kona hi khali na tha,
Dil ka sambhalna na khali hi tha,
Tu aaye to har khushi ka lamha khali na tha,
Teri har khushi ka ehsaas khali na tha,
Yeh to hui humari baat, uska darpan to khali na tha!

Submitted by Srishti Agarwal

-------------------------------------------------------------------

Dil ka dard tum samajh na sake,
Humare dil ko yaaad kar na sake,
Koi aur ho to baat samjh sakenge,
Varna sakun dil ko dila na sakenge!

Darde-e dil ki daastan,
Mohabbat ke safar mein,
Hai ishq ki galiyan badnaam!
Kasam kasam lene se darte hain,
Tumko yaad karke rote nahin hain,
Par samajh kar baat badana,
Is samaajh mein ek samajh hai!

Darde dil ka kya,
Darde dil ka etbaar bhi to kya,
Darde dil ka mausum bhi to kya,
Zahan tumne rakh diye kadam,
Woh manzil aakhri hi kya!

Submitted by Srishti Agarwal

-------------------------------------------------------------------

Chahat ek nagma hai..
Gulab phool hai..
Zameen dharti maa hai..
Dil pyarsa bandhan hai..
Mausum waqt ka ehsaas hai…..
Yaad kisi ka aana, chahat hai,
Chahat phoolon ke gulab ki tarah,
sada mahakane wala ehsaas hai,
Jo zameen aur asman ka pharak paar
kar deta, jo chutki mein/palak chapakte hi,
dil ka rishta jod deta!

Kahta hai sagar kya,
Uthti hai umang to kya,
Mat pakdo agar ka daman,
Sahti hai sharafat to jeen ke wazah hi kya!

Paap aur Poonya kahiye,
Vardaan aur Shraap ka antar kahiye,
Dharti aur Aasmaan ka pharak kahiye,
Dosti aur Dushmani ke wazah kahiye,
Garv aur Abhimaan, Ghamand ka matlab,
samjhiyen to kahiye,
Ikraar aur Takraar ka mel ho to kahiye,
Har Dharam aur Karm humare apne hai,
Beganon se pyaar karen to kahiye,
Hum ek hain ab yeh kahiye!

Submitted by Srishti Agarwal

-------------------------------------------------------------------

Zindagi gamon ki laher bhi hai,
Zindagi dilon ke kareeb hi to hai,
Zindadi tumhare saath ek mahak si hi to hai,
Jo phelkar tumhe pukarte hai,
Aur tum chale aate ho,
Yeh dosti pyar ka izhar hi to hai!

Roke rukana saka yeh pyar,
Tumko dekha to rukna saka pyar,
Tum pukaarte rahe,
Yeh ehasaas hi bahut tha!

Dil ke itane kareeb hokar itne door kyon?
Dil ke itane paas hokar door kyon,
Dil ko gulaab si tasslee na do,
Tumko ehsaas bhi nahin,
Isme humara kasoor kyon?

Submiited by Srishti Agarwal

-------------------------------------------------------------------