A collection of sher o shayari

-------------------------------------------------------------------

Rafta rafta baat kuch is tarah chali,,
Sochte reh gay hum to,
Baat badhti hi chali,
Lo paas mein hi thi khabar,
Hum tere ho chale…
Hum to intezaar ka darpan nibhate chale…

Tumhare no./Pyaar ki khwaish mein,
Badti umar, ghat ti rahi zamane se..
Tere deewane hai hum,
Peechle kai janamon se..

Masoom dil par dastak de rahe ho,
Poochtein hain kya hakk tumhara hai,
woh batate hi nahin!
Woh kahtein hai,
Zawab ho to suna sakenge,
Dil ki baatein yoon bhare bazaar nahin!

Submitted By Srishti Agarwal

Email This Sher Email This Sher

-------------------------------------------------------------------

Jin sapno ka mai tara tha
aaj un sapno ka hathiyara hoon,
ghot diya aaj unki vicharone ko,
apna en acharoen sa,
nakam hokar apne prayatno ma,
toda ha unka armano ko,
kya sounch ker unhona muja pala,
jo aaj bangaya unka liya zahar ka pyala,
hai kismat na muja bada sathaya,
muj sa hi unko ha rulaya,
muj sa aye kaisa guna ho gaya…

Submitted by Amardeep Thakur

Email This Sher Email This Sher

-------------------------------------------------------------------

Ashiqui ne mujhe diya kya hai,
aye khuda isme majra kya hai.

maine kanto mein neend kati hai,
isse behtar meri saza kya hai.

ratein benoor ho gayi meri,
din ka aalam fareb lagta hai,

susk aankhon mein roshni na rahi ,
na koi khawab silsila kya hai.

iska afsos nahi hai mujko,
ki tere pass mera gum na raha.
iska afsos raha umr talak.
ye mere saath faisla kya hai.

(shahnawaz khan)

Email This Sher Email This Sher

-------------------------------------------------------------------

Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,
har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,
ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine…

Submitted By Madhu V Acharya

Email This Sher Email This Sher

-------------------------------------------------------------------

Tarasti nazaroon ki pyas ho tum,
tadapte dil ki aas ho tum,
bugte zindagi ki saans ho tum,
kaise na kahoon kuch khaas ho tum.

Submitted By Raj Chauhan(For Bhumika Sinha Delhi)
Message : I Love U Janu

Email This Sher Email This Sher

-------------------------------------------------------------------

Jawani ke din chamkile hon gaye,
husn ke tever nokile ho gaye,
faisla lene me itne dhile ho gaye,
ki unke haath peele ho gaye….

Submitted By Hemant Raj

Email This Sher Email This Sher

-------------------------------------------------------------------

Wo chham chham kar ke aayi
wo chham chham kar ke chali gayi
main sindoor le kar khada tha
wo rakhi bandh kar chali gayi..

Submitted by Abrar Afzal

Email This Sher Email This Sher

-------------------------------------------------------------------

Aapke intezaar main palkein bichhaye baithe hain.
Na jaane kab aaoge tum, par aaoge ye ummeed lagaye baithe hain,
Jab bhi tum aaoge dil par dastak zaroor hogi humare
Bas isi ke intezaar me dhadkane thaame baithe hain.

Submitted by Zaheen Khan

Email This Sher Email This Sher

-------------------------------------------------------------------

Kuchh lamhen hai baaki…
kanhi door se bichhad jane ki paigam aya hai
Aab nanhi hai siqayat kisi se
humme to baas.. halat ke sataye hue hain.
Khun se likha tha kabhi,
pyaar bhari dastan kisi ki,
sajaya tha ghaar-baar -angan,
bichhaya tha phoolon ki chhaddar unke swagat me,
paar, waqt gujarte gaye.. haalat badal gaye
woh bhi badle……
sirf, khade the hum waqt ki rahon par…
shene me jakhmo ke jakhira liye.

Aab to sab kuchh to hai tayar,
Tayar tum bhi…. tayar hum bhi,
zindgi ki train bhi tayar whistle bajane keliye
shirf kuchh lamhe hai baki……..

Agar de sakti ho to de do mujhe
chand pal udhar,
tumhare waqt ki tijori se,
ghum aaun.. phir ek baar..
gujre hue atit ke yaadon ki kinare
Naap loon..milne se bichhd ne taak ka safar
sama loon..gujara hua ek-ek paal
bichhde hue har ek lamha
samet loon sare.. bikhre hue yadoon ki motiyan,
sunhare lamho ki lakiron se.
Bhaar loon sare.. mithe-mithe dard
Pyaar bhari sabhi ahsasen
phir to na hogi koi siqayat– na koi khwhish
Hogi to khali duaa hi hoga..
tere har kamiyabi ke chahton me.

Aab to baas alaag raahon ke do musafir hai hum
jaana tujhe bhi hai…jaana mujhe bhi hai
fark sirf itna hoga,…
tu jayegi khush nashib ke sougat lekar…
sapno ki duniya me dher sare armaane lekar,
jahan tere liye maan honge… soharat hogi
naye log .. naye sapne honge

Aur mein……….
chalata rahunga anjana sa,
badnashibi ki rahoon paar ek-ek kadam
manzilon ko talashte hue…..
tanhaiyoon ke zehar peekaar.

dedicating to
ladlee
banglore

Submitted by DEEPAK ARYAN

Email This Sher Email This Sher

-------------------------------------------------------------------

Hamesha rishta aar ya paar nahin hota,
samajh samajh ka pher hai,
har insaan dil daar nahin hota!

Kya bigada tha humne oonka,
humara dard woh samjh na sake,
humene kai bar samjhana chaaaha
woh humare dil ko parakh na sake.

kahtein hain woh dost hume,
apna bana na sake,
baat karte nibhaneki,
palak jhapakte,
woh nishan deekh na sake.

Badalte hain rishtey,
har pal kshan ab begaane se,
tootkar jo bikhar jaye,
oose dil nahin sheesha kehte hain,
Apne aapko dekho to oose aaina kahtein hain.
Aaina to sirf chehra pehchan deta hai,
Par dil toot jaye to oose pyaar,
ka darpan kahtein hain.

Submitted By Srishti Agarwal

Email This Sher Email This Sher

-------------------------------------------------------------------