Bewafa Shayari
Khafa
Khafa hue tum kuch is tarah,
Ki hume ruswa sa kar gaye,
Vade sare todke hume tanha sa kar gaye,
Aye the khuhiyon ke wade ke saath,
Aur gamon ki saugat chod gaye……..
By Neha
Baadlaon Ke Aaghosh Mein
Aaj baadlaon ke aaghosh mein chaand ko sotay dekha,
taaraon ko bhari raat mein rote dekha..
Jise maine chaaha ek muddat beetnay tak,
aaj usey maine kisi aur ka hote dekha..
Jiski aarzoo mein ek umr gawaadi,
usko seep ke saath gehraaiyaon mein khhotay dekha..
Jis moti ko sambhaale rakha apna muqaddar jaan kar,
kisi aur ko wo moti apne haar mein pirootay dekha…!!
By Sabeena
Bewafai Ka Kata
Saanp ka kata sota hai,
bichu ka kata rota hai,
Par bewafai ka kata,
toa na rota hai na sota hai.
by arvind sharma
Ae Bewafa
Ae zalim pani me pathar mat phek
us pani ko bhi koi pita hai
ae bewafa is dil ko mat tor
is dil me bhi koi rahta hai…
by asif khan
Dil Tujhko Yaad Karta Hai
Dil Tujhko Yaad Karta Hai
Mere Rokne Kay Baad,
Hum Khuch Be Soch Patay Nahi
Tujhe Sochnay Key Baad.
Tujhay Ehsaas Tu Ho Gaa
Tujhay Ehsaas Tu Ho Gaa
Khuch Aapni Bewafai Ka
Kabhi Toh Sochta Ho Gaa
Huma Tanhayee May Wo Be
Asar Khuch Tuh Hua hoga
Dil Per Hamari Judai Ka
(Nargis Khalid)
Saath Chalna Chahata Hon
Muja Khud Nahi Pata Key May kiya Chahta Hon
Sazaa Chahta Hon ya Jazaa Chahta Hon,
Wo Pochay Jo Muj Say May Kia Chahta Hon
May Keh Don Ga Hanse Key Wafa Chahta Hon,
Bohat hi Hein Paysee Yeah Meri Nighahein
Tumhay inn May Jalwa Numa Chahta Hon,
Gehray Hon Badil Barsay jo Barish
Kadam Ba Kadam Saath Chalna Chahata Hon.
By Nargis Khalid
Koi Gila Nahi
yu to koi gila nahi hai
par tu bhi aaya nahi hai
sanso ke dard ko tune jana nahi hai
guzarisho ko bhi mana nahi hai
aaj juban pe tera nam nahi hai
kyoki tu mere pyar ke layak nahi hai…
hi ,i hope u like it n publish it on ur site , i dedicate it to my love “s”
by prateek
Teri Nazar Mein
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi…..
by Vinod
Khat likhta Hu
khat likhta hu khoon se siyahi na samjhana.
Marta hu teri yaad me bewafai na samjhana..
By rishipal singh
Tumhari Yaad
tumhari yaad aati hai,
dil phoot phoot kar roota hai,
tumhe kiya malum bewafa pyaar kya hota hai.
By Ashana singh