Ikk Umeed Ka Diya
Ikk umeed ka diya jalaya tha aapke pyar ko pane ko,
Par adhura reh gaya mera sapna ek hone ko,
Yaad karte hain hum aapki yaadon ko
Aur barsa dete hain inn aansuon ko…
Shayari | Hindi Shayari | Love Shayari
Shayari, Sher O Shayari, Love Shayari, Romantic Shayari, Funny Shayari, SMS Shayari, Hindi Shayari, Urdu Shayari, Sad Shayari and many more.
Ikk umeed ka diya jalaya tha aapke pyar ko pane ko,
Par adhura reh gaya mera sapna ek hone ko,
Yaad karte hain hum aapki yaadon ko
Aur barsa dete hain inn aansuon ko…
Pyar se Pyar Karna ik nasha hai,
Dil leke dil dena bhi ik nasha hai,
Dilloan main dard toa hota hi hai mere dost,
Par us dard ko pina bhi ik nasha hai ..
Jindagi veeran hai meri kuch is kadar,
Ke kissi ko bhi mere pyar ki nahi hai kadar,
Jindagi jeene ke liye bass ek dost dhoondta hu,
Koi padh le isse toa jaroor lena meri khabar…
Tutae huyae paimanoo main jaam nahi aata
Dil ke marij ko aaram nahi aata
Aye dil todne wali jara ye too pucha hota
Toota huya dil bhi kisi ke kaam nahi aata
Tadap kar dekh kissi ki chah main,
Tabhi ptta chalega ke pyaar kya hota hai,
Agar aaise hi mil jaye koi raahoan main,
Toa kaise ptta chale intezaar kya hota hai…..
Milta agar hamko raasta koi toa ham bhi thikana pa lete ,
Aapni kismat ne rakha tanha varna ham bhi zamana pa lete,
Jab bhi bajana chaha , saaz tod dia takdeer ne,
Ni toa zindagi ki mehfil main , ham bhi koi tarana ga lete….