Dosti Shayari
Woh Dost Yaad Aaya
aaj mujhe woh dost yaad aaya,
use dekhe kar har din yaad aaya,
khoobsurat lamho ki tarah mere dil main samaya,
use dekh kar dil roa para, dil toot kar bikhar para,
na jaane kya tha mere dil main jo use dekh kar jhoom para,
itne dino ke baad dekha toa aaisa laga ke zindagi badal gai,
na jaane kab se dua thi use milne ki ,
aaj aaisa laga jaise zindagi bhar ki murad poori ho gyi,
aaj mujhe woh dost yaad aaya….
Suna Hai
Suna hai asar hota hai baatoan main,
aap bhi bhul jaoge 2-4 mulakatoan main,
Lekin humse bachkar kha jaoge,
Aapki dosti ki hai mere hathoan main….
By Ajay kumar Chandalia
Ek Mulakat
Ek mulakat karo inayat samajhkar,
Sara hisab denge inayat samajhkar,
Mere dosti par shak mat karna,
Hum dosti bhi karte hai ibadat samaj kar….
By Vageesh Dwivedi
Hum Nibhainge Dosti
Hum nibhainge dosti marte dum tak,
Hum hasaainge tumko khushi se gam tak,
Aye dost kabhi humse naraz nahi hona,
saath raheinge aqhiri DUM tak.
Submitted By Pasha
Karni Hai Khuda Se Guzarish
Karni hai khuda se guzarish tere dosti ke siva koi bandagi na mile,
Har janam me mile dost tere jaisa ya phir kabhi zindagi na mile.
Submitted by Manali Deodhar
Dard Hi Sahi Par
Dard hi sahi par meri dosti ka inaam toa aaya ,
Khali hi sahi par haathoan main jaam toa aaya ,
Main hu bewafa sabko btaya usne,
Aaise hi sahi par uske laboan pe naam toa aaya .
Lambi Hai Manzil
Lambi hai manzil aur dur hai kinara
ae dost kyu nahi aaya aaj sms tumhara?
agar dosti ki hai to nibhana hoga dostana
ya bhul gaye ho number ya naam hamara?