Romantic Shayari - Page 5

Faana Mohabbat Mein

Posted under Romantic Shayari | Read the First Comment

Aye khuda karde faana mujhko mohabbat mein.
Zindagi karde khatam unki hi chahat mein.
Hai meri yeh aarzoo marne se bus pehle.
Char pal main jea sakoun unki inayath mein.

By Moin Shaikh

Mere Khwabon Me

Posted under Romantic Shayari | Read the First Comment

Mere khwabon me wo teer chalakar chali gayi,
main soya tha wo jagakar chali gayi,
Maine pucha CHAAND nikalta hai kaise,
to chehre se zulfen hata kar chali gayi.

By HIMANSHU

Iss kadar

Posted under Romantic Shayari | Read the First Comment

Iss kadar hud se zyada pyar kiya hai maine
intzar ki had tak intzar kiya hai maine
kahne ko kuch bhi kahe ye jahan wale
par sirf tujh par hi aitbaar kiya hai maine

By Vikas pitre

Tere Sabhi Gamo Ko

Posted under Romantic Shayari | Be the First to Comment

Tere sabhi gamo Ko samet kar main tujhe itna pyaar dun,
Teri udasi ko hata ke tujh par sha, ka rang nikhar dun

Teri ankho main chupi khamoshi mere dil par asar kar gayi
Tere wajood ko mehkade Jo Tere labo ko wo bahar dun

Teri ek muskurahat ka badal kuch ho nahi sakta magar
Jo mile Tujhay khushii agar mai apni jaan bhi waar dun

Agaya hai jo hijar ka dour tere mere darmiyan
jo mile mujhay fursatai yai waqt ka kharz utar dun

Tere dil ki ronaqai murjha gae hai jo is tarah
laga kai apnay seenay se tere dharkano ko karar dun

tanhayeo kai tofano se bikhar gae hai sabhi
jo kahay to tere Aaa tere har zulf ko sunwardun

Mere nigah bhi hai tere ek nazar ki muntazar
jo karai agar edhar nazar tujhay duayen beshumar Dun

By Anjaana

Kuch Kehne Ka Khayal Aata Hai

Posted under Romantic Shayari | Be the First to Comment

Aapse Kuch Kehne ka khayal aata hai…
Yakin maano dil duao se bhar jaata hai…
bade jatn se hum lafzo ko hotho par sajate hai…
Par raah me jab bhi aap nazar aate hai…
Hotho par saze saare lafz hum bhul jaate hai…
Fir lagte hai sochne ki kaise shurarat kare…
Aakhir kaise zahir aapne dil ki baat kare…
Yu to jayada nhi bas itni farmish hai…
Aapse umar bhar pyaar karne ki gujrish hai…
Maaf kar dena agar koi bhul ho…
Aasma aapka ho jo pyaar hamara kabul ho…

By Sourabh Pandit

Manzil Ko

Posted under Romantic Shayari | Read the First Comment

Aap to manzil ko mushkil samajte hain
Hum aap ko manzil samajte hain,
Bada fark hai aapke or hamare nazariye mai
Aap hame sapna or hum aap ko apna samajte hai

Ghanshyam

  1. Pages:
  2. 1
  3. 2
  4. 3
  5. 4
  6. 5
  7. 6
  8. 7
  9. ...
  10. 17